Friday 24 March 2017

KYA YAA ALI , YAA GAUS, YAA KHWAJA AL MADAD KEHNA SHIRK HAI?

KYA YAA ALI , YAA GAUS, YAA KHWAJA AL MADAD KEHNA SHIRK HAI?

EK DEOBANDI SAHAB KA KEHNA HAI KI AISA KEHNA SHIRK HAI AUR UNHONE DALEEL MEIN EK HADITH PESH KI.

PEHLE HUM US DEOBANDI SAHAB KE AITERAAZ KO PESH KARTE HAI PHIR UNHI KO UNKI HADITH PAR SAWAAL KAREGE.

DEOBANDI SAHAB KA MESSAGE:

Yaa Ali ya gaus ya kuwaja...................... madad kehne walo is hadees ko Gour se padhiye .....!!

Hazrat ibne Abbas (rz.a) se marwi hai k ek Aadmi ne Nabi Sallallahu Alaihe Wasallam se kaha " Jo Allah chahe aur jo Aap chahen " Nabi Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya kya tu mujhe aur Allah ko barabar kar raha hai ?
Youn kaho jo Allah tan tanha chahe .

Musnad Ahmad :1839

Note ::::::!!!!!

Kya Hadees padh kar bhi Yaa Ali madad k naare lagaonge?????

AB ✒AHLE SUNNAT RESEARCH CENTRE KA JAWAB PADHIYE:

HADITH:

SAHIH BUKHARI mein Hazrat Abu Zar  رضي الله تعالى عنه  se riwayat hai ki jab suraj gurub huwa to Nabi e Kareem صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ  ne unse puchha: Kya tum jante ho ki suraj kahan jata hai? To Hazrat Abu Zar  رضي الله تعالى عنه  farmate hai ki maine kaha  " اللہ ورسولہ اعلم Allah aur uske Rasool ziyadah jaante hai".

Sahaba e kiram ko jab koi baat maloom nahi hoti thi to woh kehte the:
"ALLAH AUR USKE RASOOL ZIYADA JANTE HAI"

BUKHARI ME YE BAAT 37 HADISO ME AUR  SAHIH MUSLIM ME 21 HADISO ME MAUJOOD HAI.

❓Ab Deobandi sahab se sawal hai ki kya Hazrat Abu Zar  رضي الله تعالى عنه  aur woh saare Sahaba e kiram jo ye kahte the ki "ALLAH AUR USKE RASOOL ZIYADA JANTE HAI" Sab ke Sab Rasool ko Allah ke barabar karne wale the?

KHUD MUSNAD AHMED HADITH 184 ME HAZRAT IBNE ABBAS  رضي الله تعالى عنه   NE FARMAYA :

"ALLAH AUR USKE RASOOL ZIYADA JANNE WALE HAI"

Ab Deobandi sahab jawab den ki kya Hazrat Abu Zar  رضي الله تعالى عنه  aur tamam Sahaba balki Musnad Ahmad wali hadith ke raawi HAZRAT IBNE ABBAS  رضي الله تعالى عنه   NABI KO ALLAH KE BARABAR KARNE WALE THE?

Aur Deobandi sahab ki pesh karda Hadith e  Ibne Abbas qabile hujjat nahi.

Kyu ki uska ek Raawi "Yahya Ajlah Majruh sakht zaeef hai" .

IBNE SAAD NE LIKHA "Woh bahut zaeef the
[ ● Al tabqat, 6/337]

ABU HATIM NE KAHA "WOH QAWI NAHI.

IMAM NASAI NE KAHA "WOH ZAEEF THE. UNKI RAI BURI THI.

JOZJANI NE KAHA "WOH IFTERA KARNE WALE THE.
[● Mizaanul etedal, 1/79]

YAHYA BIN SAEED QATTAN NE KAHA UNKE BARE ME MERE DIL ME KUCHH SHAK HAI.
[● TAHZIB UL KAMAL, 2/276]

IMAM ZAHABI NE ABUHATI M KA QAUL NAQL KIYA KI AJLAH KI HADITH LIKHI JAYEGI LEKIN USKO DALIL NAHI BANAYA JAYEGA. 
[● DIWAN UZZUWAFA, 1/435)

IS HADITH KI MUTABE KOI RIWAT NAHI LIHAZA YE QABILE HUJJAT NAHI.

DEOBANDI SAHAB KOI SAHIH DALEEL PESH KARE AUR SAHIH BUKHARI KI HADITH KA JAWAB DE.